Monday, 13 September 2010

Hai Behtar Yahi ab....................

khayaaloN se apne baghawat karo
kabhi humse yuN bhi mohabbat karo

panahoN mai apni chupa kar hame
zamaane se saare raqaabat karo

kabhi apne kandhe pe zulfe giraa
karo qatl aur ik inayaat karo

hamaari nigaho me jo hai chupi
agar hai shararat ,wazahat karo

saRe raah yuN tokna hai ghalat
akele bitha kar nasihat karo

hai behtar yahi ab to aslam miyaaN
ke ab khatm shikway shikaayat karo





aslam

Bhool Jaana To Ab Nahi Bas Mai.........................

Zindagi bat gayi do khaano mai
Aapki nazron ke paymaano mai

Jab se diwaangi samjh aayi
Hum bhi shamil huway diwaano mai

Dam jo bhrte the hum pe marne ka
Aate hain ab nazr begaano mai

Bhool jana to ab nahi bas mai
Teere dil na rha kamaano mai

Tay parindo ko musafat karke
Lot jana hai aashiyaano mai

Haar se keh do door hat jaye
Ab hai aslam teri amaano mai

Saturday, 10 April 2010

Kya Naya Hadisa Hua Koii

US KO HUM SE RAHA GILA KOEE
BE SABAB HO GAYA JUDA KOEE

AAP JAISE HI YAAD AATAY HAIN
YAAD AATA HAI SANIHA KOEE

AB PALAT KAR WOH POOCHTA BHI NAHEEN
AISE HOTA NAHEEN KHAFA KOEE

AYE KHUDA US KO BHOOL JAYOON MAEIN
HOSLA AISA KAR ATA KOEE

KIS LIYE PHIR UDAAS HO ASLAM
KIYA NAYA HADISA HUA KOEE




aslam

Dil Ke Mehmaan Bano

Dil ki dehleez pe ek baar uthr kar daikho
Aaina mujhko bana kar bhi sanwar kar daikho

Meri khamoshi ka matlab na smjhne waalo
Tum kisi marhala e gham se guzar kar daikho

Kaise kat’ti hai, tumko bhi khabr ho jaayegi
Aasmaa waalo, zamee par to bikhar kar daikho

Saari baatein to hawaao.n se nahi ki jaatein
Dil ke mehmaan raho dil mai thehr kar daikho

Hain zaroori jo fizaao.n mai udaaney asalm
Tum khalaao.n mai kisi roz safr kar daikho


aslam

Tuesday, 23 March 2010

Khalish

apni duniya ki fikr sabko, waise hame bhi thehri
khbr mili ki tum par koi saaneha guzara hai
bas yahi sun kar phone kia tumko
magr na to tumne call hi pic ki aur
"busy thi.n"
to palat kar hi jawab dia...................
suna hai
duniya mai har cheez paayi ja
sakti hai , siwa
Brose ke..........................
wo jo tumko mujh par tha!!!


aslam

Monday, 8 March 2010

Behlawa

Behlawa

Yaha.n par raat hoti hai
Wahan din nikalta hai
Na jaane kyu.n magr
Such ka ek darpan nikalta hai
Tumhare khaab din ke ujaale mai
Jhilmilaane lagte hain
Ke un par jaRde ye yaqoot
Bhut hi khoob lagte hain
Mujhay bhi khaab aate hain
Magr mere khaabo.n ki tasveer
Bas ek saya si dikhti hai
Mein kuch uljha hua sa hu.n
Samjh mai kuch nahi aata
Ke aisa kis liy.n hai
Yahan par raat hai shayad!!!




aslam

Tumhari Yaad

tumhari yaad khabo.n ke jazeere se
na jaane konse patte samait laayi hai
ke jin pe zahiri tour pe to kuch bhi nahi likha
magr un patto pe agr mein ghor se daikhun to
do dhaRakte dilon ki daastaan dikhaii daiti hai
socha hun ki padu.n inhe
ya yun.n hi rehne du.n
magr na jaane kyu.n
us makhmali patte ko
apne haath mai laikar
mein usi jheel ke kinaare
baith jaata hu.n
ke jahan meri saanso ne
mujhay jeene ki ek nayi, ada di thi
dhaRdkta hua dil
kapkapaate huway lab
machalti huii bekali
aur kisi ki aag ki tapish mai
sulagta hua badn
ye ehsaas ajeeb they
jo ki zehen ko jaane kis uchaaii mai
parwaaz karne ko kehte they
saath hi kisi samndar ki gehraaii ko
maapne ka hosla bhi rakhte they
meine un patto ko apni ghodh mai rakh lia
aur ufaq pe na jaane kyu.n aise
daikhne laga ki shayad
mujhy jo kuch padna hai wo wahin
tehreer hai
thodi hi dair mai mujhay laga ki
meri palkon ke kinaare nam hain
aur saansein be rabt si hain
kya karun, kya na karun
isi beqaraari mai
meine shayad ghbra kar karwat li thi
aur mera khaab mujhse door chala gaya!!



aslam

Tuesday, 2 March 2010

HUkm Badooli

Almaari mai kuch talaash kar raha tha
ki achanak mere ungliyo.n ke poro.n ne
kisi khaaqi lifaafe ko chua
aur haatho ne usse choote hi
mazbooti se pakaRd liya
ke kahin wo chooT na jaaye
mere hoto.n par bheeni si muskahat hai
ye tumhar dia hua Birthday Card hai
mere ajzaa AAj bhi mujhse
Hukum badooli karte hain!!

Thursday, 25 February 2010

Hichkiyaa.n

Hichkiyaa.n

kal raat mein so
nahi paaya
shayad tum jaag rhi
thi.n.......................

Monday, 22 February 2010

Wafa

wafa
uski aankho.n mai jo naye khaab daikhe maine
meri beqaraari ko kuch suku.n hai mila
wo jo kehti thi ke tum
mijaazi khuda ho mere
uski palko.n pe
sabnam ki nayii boondei.n hai.n saji
jinki jhilmilaahat baRi dilkash aur baRi dilfareb hai
mujhay khushi hai ke
mere khaab na saja kar
mujh se wafa ki usne!!


aslam

Thursday, 11 February 2010

Yaqee.N

Meri nazar, tumhare alqaab aaj bhi usi
tarha.n mere seene mai mehfuz hain,
ki jaise tumhe abhi abhi mujhse kaho
ho.n, un alfaazon se nikli huii garm
saanso ki thakan mujhay aur bhi
paagal bana daytii hai
tumhara lia hua wada
mujhse baghavat krne
lagta hai kiwo jo tumhe is
tarhan se choRd kar gaya uske liyn kaisa
waada aur waada bhi aisa ki "plat kar meri simt
kabhi na aana" shayd tum bakhoobi jaatni thin ki
tumhari zubaan se nikle huway ye lafz, meri zindagi
honge, sochta hun kitna yaqeen tha tumko mujhpar
ye raat mere aasaabon par poori tarhaan bhari hai
aur tumse milne ki guzaarish insem mere daaman
mai daal di hai, uski aankho ke surkh dore
mujse na jaane kya shikwa kar rhe hain
bas ek takh daikhe ja rhi hai mujhko
ki shyad mein kahiun uske haq mai
ghalat faisla na kar dun aur tumse
na milne ki qasm qayam rakhun
wo dheere dheere mere qareeb
aa kar mere pehlu mai baith
jaati hai aur apna sar mere
baazuon pe tika daiti hai aur
mein uski siskiyon ko sun rha
hun jo tumhare milan ki shddat
ko aur bRha rahi hain meine uske
pakiza chehre ko apne thao mai
liakr uski jabi.n ko aqidatan choom
lia aru uski aankho mai aankhein
daal kar maine usse bas yahi kaha
"mujhay ruswaa na kar" jaanti wo
mujhme simat gayiye kehte huway
kii, aafree.n hai teri mohabbat par
teri mohabbat tujhse koi nahii cheen
skta mai uske is jumle par muskura
dia,shayd usse is baat ka ilm hi nahi
ki tumhay mujh par kitna yaqeen hai
aslam

Tuesday, 9 February 2010

Sabke Andaaz e Khayalaat

sabke andaaz e khyalaat badal jaate hai.n
bedili baRd ke sawalaat badal jaate hai.n


usse keh do ke nayii baat nahi hai koii
log jhootey ho.n to har baat badal jaate hai.n


humse kat_te nahi lamhe bhi kisi kal yaaro
aur pal mai waha.n din raat badal jaate hai.n


jinko humne hi tarashaa, wo khuda ban baithey
kitni asaani se halaat badal jaate hai.n


tum to ab tak liye baithey ho wafa ko aslam
tez dhaaro.n mai tajarbaat badal jaate hain




aslam

Sunday, 7 February 2010

Gila Waqt Ka

Hai koi jo suchchi baat likhe,
hai koi jo dil ke jazbaat kahe
hai koi jo sune taaro.n mai
saaz o awaaz ki zaat likhey

meine daikhe hain kaii chehrey
jinke maathay pe such ke tamghay they
aur lehje mai bala ki narmi
jinki awaaz ki khumaari mai
ek seedha saadha sa ladka
duniya ki talkh haqeeqat se lad jaata hai
aur jab muR kar "ussi" ko nahi daikhta
to goli kha kar mar jaata hai

meine daikhi hain mehkti kaliyaan
jinke hoton pe chatakhney ke
kaii rang aate jaate hain
jinki khusboo manchale bhwray
shaakh dar shaakh gungunaate hain
aur jab mand paRti hai whi khusbu
phir se ek nayi kali ki talaash mai
wo hawaao mai kho se jaate hain

meine daikha hai wo bhi lamha ke jab
piyar ki mehekti waadi mai, ek duje ka haath
haath mai liye, do haseen piyaar karne waale
nayi disha mai kho jaate hain
aur phir achanak se, jaane kis baat par akaR jaate hain
aur apne apne ghar jaate hain

meine daikhi hai aisi shehzaadi bhi
jo ek adna se ladke ki khaatir
saare takht taaj se lad jaati hai
aur khud mai hi mar jaati hai

meine daikha wo bhi shehzaada jo
ek londi se karke waada, apne nashey mai kho jata hai
apni hi piyaar ki nishaani ko
apne hi haatho marwaata hai

meine daikhe hain ye saare manzar,
ab koi nayi baat bhi likh do
koi to aisa pal likh do mere bhi maathy par
ke jab dunaiya ka aakhri lamha mujhse
kuch sawaal kare to
mere bhi haatho mai, ek piyaar ki mukammal
kahani ho jisme na koi raaja aur na hi koi raani ho
jisme ho.n bas do dhadakte huway dil
haqeeqat ki zubaani ho
wo teri aur meri kahaani ho
wo teri aur meri kahaani ho!!



aslam

Mujhay Tum Yaad Kar Laina

Mujhay tum Yaad kar laina
Mujhay tum yaad kar laina
Udasi dil pe jab chaaye
Chandni raat dus jaaye
Ke meri yaad jab aaye
Mujhay tum yaad kar laina
Abhi to mujhse tum naashna thi.n
Abhi daikha hi kaha.n tha tumne mujhko
Abhi mousam baharo.n ke
Tumhara naam japte they
Abhi ye phool bhi saare
Tumhari baat karte they
Abhi tum ke khabo.n mai
Meri hi naam laiti thi.n
Abhi badal pe ungli se
Mera hi naam likhti thi
Ye saare manzar jab tumse door ho jaye.n
Bahare.n bhi khizaao.n ke, roop mai aaye.n
aur badal rote rote jab kafoor ho jaye.n
Mujhay tum yaad kar laina
Abhi lagta hai tumko
Bhula dogi tum mujhko
Abhi lagta hai tumko
Aansu mai baha dogi mujhko
Abhi lagta hai tumko
Khula sa aasma hoga
Abhi lagta hai tumko
Baharon ka saaybaa.n hoga
Abhi to zindagi ki talkhiyo.n se
Tum door rehti ho
Abhi to khaabo.n ke daayro.n mai
araam se baithi ho
Abhi aagosh mai phoolo.n ki
tum khushboo si dikhti ho
Abhi sookhe huway paato.n se
Tum nawaakif si lagti ho
Yahi sab jab halke halke
apna rang mai aayein
Tumhaari hasti nigaaho.n ko
Jab ye nam sa kar jaayein
Ye jo sab raah mai phool se dikhte hai.n
lamha lamha jab sabhi tirshool ban jaayein
Mujhay tum yaad kar laina
Mujhay tum yaad kar laina




aslam

Sunday, 10 January 2010

Hame Tum You.n na tadpaao

You.n lagta hai jaise sadiyaa.n beet gayii ho.n tumse kuch sune sunaye,
baat sirf chand din pehle ki hai you.n hi kisi baat shayad tum rooth gaye aur hamne bhi apni ana ko apne dil ke darwaaze pe ek pehredaar ki tarhaa.n musallat kar dia,
jabki hum jaante hain ki wahi se tumhara aana-jaana hai hum ye bhi jaante hain ki khud tum kitne ana parast ho lakin baat hamari ana se shru hoti to zikr sabse pehle hamara hi hoga,
you.n to kehne ko hum tumse roothe magr asal mai zindagi humse roothi, baat baat apne aap se jhigarte rahte hain kisi bhi baat mai mann nhi lagta hai,
aaj subha se hi dil bhut udaas sa hai, na kuch kehne ko dil kar rha hai na hi kuch sunne ko, magr kisi sada pe kaan zaroor lage hai.n, shayad kisi ka intezaar hai, koshish kar raha hu.n ki apne aap ko sambhaal lu.n magr kambakht ye bechaini khtm hone ka naam hi nahi lai rhi, hamare dil ke qareeb ke shayad tum hi ho, to socha ki is sawaal ka jawaab tum hi kyu.n nhi kia jaaye, ke kya tum hamari is bechaini ke sabab se waqif ho? agrachay haan! to is khamoshi ka bharm tum toR kyu.n nahi daiti.n, "hame tumse mohabbat hai" to dheere se apni ana se chip kar dabe paau.n hamare kaan mai aakar bol kyu.n nahi daiti.n.......hame tum you.n na tadpaao
hame tum you.n na tadpaao




aslam

Thursday, 7 January 2010

Tum Bhi Nahi

Yaad ne apne par phir se khol liye
ek nayi udaan ke liyn,
door bhut door falaq ke us kone par
jahan ek aisi basti hai jiski fiza mai
an ginat rangeen nazaare bikhay
huway hai.n,
jinko sirf choo kar ruh un bulandiyo.n
ka safar tay karti hai jiski aas
mujhay bhi hai aur tumhe bhi
aao mere saath mein tumhay who
sargoshiyaa.n sunaau.n
jo kahbi tumne mere kaano mai
bhut dheere aur bhut dheer se ki thin
meine unhay bhut sambhaal rakha hai
aur un tamaam lamho ko seepiyo.n
mai qaid karke
samandar ke khoobsurat neele paani ki
taho mai chipa dia hai
take koi bhi unhe choo na sake
aur mujhse cheen kar na lai ja sake
tum bhi nahi
aisa phir nahi hoga kyu.n ki ab mein aisa
hone nahi dunga!!



aslam

Neend

Neend aankho.n se door jaane kis jahaa.n ka safar karne chali gayi, ye sirf aaj nahi aksar eisa hota hai, us zalim ko pata nahi kya ho jaata kyu.n rooth jaatei? pata nahi chalta,
woh nahi jaanti ki jab woh mujhay akela choR ke chali jaati hai to kitni sarphiri yaadein mujhay apni giraft mai lai laiti hai.n aur kitna sataati hai.n, ye sirf mein aur mera khuda jaanta hai,
mein jaanta hu.n ki agr usse is baat ka zara bhi ilm ho jaaye, to woh mujhay you.n na choR kar jaaye! woh mujhse rooththi zaroor hai magr mujhay koi aur sataaye ye use bilkul bhi bardaasht nahi, aur mein??
mein bhi to nahi chahta ki woh mere bojh tale apni tamaam khwaahisho.n ka gala gho.nt de, kuch lamhe to usse bhi khul kar jeene diya jaaye, woh bho to kuch pal meelo.n ka safr kare aur jab thak kar choor ho jaaye to meri baahein usse apni aaghosh mai lai lei.n, aur uski paishaani ko choom kar apni yaado.n se anjaan raat ka safar un palko.n ki chaao.n mai shuru kare jo abhi kuch dair pehle mujhsay rooth kar chali gayi thi, meri humdam meri mehbooba meri dost!!!

Monday, 4 January 2010

Ab Hadei.n ToRne Lage Hain Wo

Ab hadei.n toRne lage hai.n wo
Mujhse kuch bolne lage hai.n wo

is haqeeqt ko jaane kaise kahun
Mujhse mouh moRne lage hai.n wo

Isse pehle koi sawaal na tha
Lazf ab tolne lage hai.n wo

humse kehte hain koi shikwa nahi
Jhoot phir bolne lage hai.n wo

Zakhm phichli ruto.n ke mousham ke
Jaane kyun kholne lage hai.n wo