Monday 8 March 2010

Tumhari Yaad

tumhari yaad khabo.n ke jazeere se
na jaane konse patte samait laayi hai
ke jin pe zahiri tour pe to kuch bhi nahi likha
magr un patto pe agr mein ghor se daikhun to
do dhaRakte dilon ki daastaan dikhaii daiti hai
socha hun ki padu.n inhe
ya yun.n hi rehne du.n
magr na jaane kyu.n
us makhmali patte ko
apne haath mai laikar
mein usi jheel ke kinaare
baith jaata hu.n
ke jahan meri saanso ne
mujhay jeene ki ek nayi, ada di thi
dhaRdkta hua dil
kapkapaate huway lab
machalti huii bekali
aur kisi ki aag ki tapish mai
sulagta hua badn
ye ehsaas ajeeb they
jo ki zehen ko jaane kis uchaaii mai
parwaaz karne ko kehte they
saath hi kisi samndar ki gehraaii ko
maapne ka hosla bhi rakhte they
meine un patto ko apni ghodh mai rakh lia
aur ufaq pe na jaane kyu.n aise
daikhne laga ki shayad
mujhy jo kuch padna hai wo wahin
tehreer hai
thodi hi dair mai mujhay laga ki
meri palkon ke kinaare nam hain
aur saansein be rabt si hain
kya karun, kya na karun
isi beqaraari mai
meine shayad ghbra kar karwat li thi
aur mera khaab mujhse door chala gaya!!



aslam

No comments:

Post a Comment