Monday 13 September 2010

Hai Behtar Yahi ab....................

khayaaloN se apne baghawat karo
kabhi humse yuN bhi mohabbat karo

panahoN mai apni chupa kar hame
zamaane se saare raqaabat karo

kabhi apne kandhe pe zulfe giraa
karo qatl aur ik inayaat karo

hamaari nigaho me jo hai chupi
agar hai shararat ,wazahat karo

saRe raah yuN tokna hai ghalat
akele bitha kar nasihat karo

hai behtar yahi ab to aslam miyaaN
ke ab khatm shikway shikaayat karo





aslam

Bhool Jaana To Ab Nahi Bas Mai.........................

Zindagi bat gayi do khaano mai
Aapki nazron ke paymaano mai

Jab se diwaangi samjh aayi
Hum bhi shamil huway diwaano mai

Dam jo bhrte the hum pe marne ka
Aate hain ab nazr begaano mai

Bhool jana to ab nahi bas mai
Teere dil na rha kamaano mai

Tay parindo ko musafat karke
Lot jana hai aashiyaano mai

Haar se keh do door hat jaye
Ab hai aslam teri amaano mai

Saturday 10 April 2010

Kya Naya Hadisa Hua Koii

US KO HUM SE RAHA GILA KOEE
BE SABAB HO GAYA JUDA KOEE

AAP JAISE HI YAAD AATAY HAIN
YAAD AATA HAI SANIHA KOEE

AB PALAT KAR WOH POOCHTA BHI NAHEEN
AISE HOTA NAHEEN KHAFA KOEE

AYE KHUDA US KO BHOOL JAYOON MAEIN
HOSLA AISA KAR ATA KOEE

KIS LIYE PHIR UDAAS HO ASLAM
KIYA NAYA HADISA HUA KOEE




aslam

Dil Ke Mehmaan Bano

Dil ki dehleez pe ek baar uthr kar daikho
Aaina mujhko bana kar bhi sanwar kar daikho

Meri khamoshi ka matlab na smjhne waalo
Tum kisi marhala e gham se guzar kar daikho

Kaise kat’ti hai, tumko bhi khabr ho jaayegi
Aasmaa waalo, zamee par to bikhar kar daikho

Saari baatein to hawaao.n se nahi ki jaatein
Dil ke mehmaan raho dil mai thehr kar daikho

Hain zaroori jo fizaao.n mai udaaney asalm
Tum khalaao.n mai kisi roz safr kar daikho


aslam

Tuesday 23 March 2010

Khalish

apni duniya ki fikr sabko, waise hame bhi thehri
khbr mili ki tum par koi saaneha guzara hai
bas yahi sun kar phone kia tumko
magr na to tumne call hi pic ki aur
"busy thi.n"
to palat kar hi jawab dia...................
suna hai
duniya mai har cheez paayi ja
sakti hai , siwa
Brose ke..........................
wo jo tumko mujh par tha!!!


aslam

Monday 8 March 2010

Behlawa

Behlawa

Yaha.n par raat hoti hai
Wahan din nikalta hai
Na jaane kyu.n magr
Such ka ek darpan nikalta hai
Tumhare khaab din ke ujaale mai
Jhilmilaane lagte hain
Ke un par jaRde ye yaqoot
Bhut hi khoob lagte hain
Mujhay bhi khaab aate hain
Magr mere khaabo.n ki tasveer
Bas ek saya si dikhti hai
Mein kuch uljha hua sa hu.n
Samjh mai kuch nahi aata
Ke aisa kis liy.n hai
Yahan par raat hai shayad!!!




aslam

Tumhari Yaad

tumhari yaad khabo.n ke jazeere se
na jaane konse patte samait laayi hai
ke jin pe zahiri tour pe to kuch bhi nahi likha
magr un patto pe agr mein ghor se daikhun to
do dhaRakte dilon ki daastaan dikhaii daiti hai
socha hun ki padu.n inhe
ya yun.n hi rehne du.n
magr na jaane kyu.n
us makhmali patte ko
apne haath mai laikar
mein usi jheel ke kinaare
baith jaata hu.n
ke jahan meri saanso ne
mujhay jeene ki ek nayi, ada di thi
dhaRdkta hua dil
kapkapaate huway lab
machalti huii bekali
aur kisi ki aag ki tapish mai
sulagta hua badn
ye ehsaas ajeeb they
jo ki zehen ko jaane kis uchaaii mai
parwaaz karne ko kehte they
saath hi kisi samndar ki gehraaii ko
maapne ka hosla bhi rakhte they
meine un patto ko apni ghodh mai rakh lia
aur ufaq pe na jaane kyu.n aise
daikhne laga ki shayad
mujhy jo kuch padna hai wo wahin
tehreer hai
thodi hi dair mai mujhay laga ki
meri palkon ke kinaare nam hain
aur saansein be rabt si hain
kya karun, kya na karun
isi beqaraari mai
meine shayad ghbra kar karwat li thi
aur mera khaab mujhse door chala gaya!!



aslam