Wednesday 30 December 2009

Naya saal

Naya saal, mere liy.n khushi manaane ka ek aur moqa
Wajh, shayad mujhay mere guzre huway kal se behtar
Ki umeed
Ho bhi kyu.n na zahir hai is zamee.n par janm lia hai
Haq banta hai mera ki mein wo sab sochu.n aur wo
Sab kuch pa sakhu.n jis par mera adhikaar hai, ye meri
Dharti hai, mere log, meri jaaye paidaaish, jise maa
Kehte hain, is poori kaayenaat ki sabse khoobsurat
Sheh, isi ki mitti mai khaila hu.n, mere badan se aisi
Mehek aati hai ki naa chahte huway bhi log mud ke daikhte
Hai.n, meri soch meri udaan, wahan jo, wo jo, ufaq daikh
Rhe ho na wahan usko choona hai, tum has rahe ho
Is baat ko sun kar shayad tumhe yaqeen nhi hua, daikho
Zara nazar daalo mere in par e hoslo.n par ye lai
Jaayenge wahan mujhko, choona hai zaroor choona hai
Haq banta hai mera, haan bas ye zara saaf safaaii karni hai
Warna maalik naraaz ho jaayega aur phir zara si mushkil hogi
Raat bhooko soni padegi, abhi jo bachaha mere liyn is
dhaabe pe chaaye laikar aaya tha shayad yahi kaha tha
uski aankho.n ne mujhse,
wo ye keh kar mere pass se chala gaya
usi lamhe aasmaan par thirakti huii roshini ne
Naye saal ka eylaan kar dia, kahan bhatak gaya mein bhi
Aap sabko naya saal Mubarak ho