You.n lagta hai jaise sadiyaa.n beet gayii ho.n tumse kuch sune sunaye,
baat sirf chand din pehle ki hai you.n hi kisi baat shayad tum rooth gaye aur hamne bhi apni ana ko apne dil ke darwaaze pe ek pehredaar ki tarhaa.n musallat kar dia,
jabki hum jaante hain ki wahi se tumhara aana-jaana hai hum ye bhi jaante hain ki khud tum kitne ana parast ho lakin baat hamari ana se shru hoti to zikr sabse pehle hamara hi hoga,
you.n to kehne ko hum tumse roothe magr asal mai zindagi humse roothi, baat baat apne aap se jhigarte rahte hain kisi bhi baat mai mann nhi lagta hai,
aaj subha se hi dil bhut udaas sa hai, na kuch kehne ko dil kar rha hai na hi kuch sunne ko, magr kisi sada pe kaan zaroor lage hai.n, shayad kisi ka intezaar hai, koshish kar raha hu.n ki apne aap ko sambhaal lu.n magr kambakht ye bechaini khtm hone ka naam hi nahi lai rhi, hamare dil ke qareeb ke shayad tum hi ho, to socha ki is sawaal ka jawaab tum hi kyu.n nhi kia jaaye, ke kya tum hamari is bechaini ke sabab se waqif ho? agrachay haan! to is khamoshi ka bharm tum toR kyu.n nahi daiti.n, "hame tumse mohabbat hai" to dheere se apni ana se chip kar dabe paau.n hamare kaan mai aakar bol kyu.n nahi daiti.n.......hame tum you.n na tadpaao
hame tum you.n na tadpaao
aslam
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
wow Aslam ji.. Wakai yea Narazgi bhari baatein sun kar bhala kaun naraaz reh payega...
ReplyDeleteBahoot hi khoobsoorat tehreer pesh ki hai aapne ...
yuhin likhte rahiye...