Thursday, 7 January 2010

Neend

Neend aankho.n se door jaane kis jahaa.n ka safar karne chali gayi, ye sirf aaj nahi aksar eisa hota hai, us zalim ko pata nahi kya ho jaata kyu.n rooth jaatei? pata nahi chalta,
woh nahi jaanti ki jab woh mujhay akela choR ke chali jaati hai to kitni sarphiri yaadein mujhay apni giraft mai lai laiti hai.n aur kitna sataati hai.n, ye sirf mein aur mera khuda jaanta hai,
mein jaanta hu.n ki agr usse is baat ka zara bhi ilm ho jaaye, to woh mujhay you.n na choR kar jaaye! woh mujhse rooththi zaroor hai magr mujhay koi aur sataaye ye use bilkul bhi bardaasht nahi, aur mein??
mein bhi to nahi chahta ki woh mere bojh tale apni tamaam khwaahisho.n ka gala gho.nt de, kuch lamhe to usse bhi khul kar jeene diya jaaye, woh bho to kuch pal meelo.n ka safr kare aur jab thak kar choor ho jaaye to meri baahein usse apni aaghosh mai lai lei.n, aur uski paishaani ko choom kar apni yaado.n se anjaan raat ka safar un palko.n ki chaao.n mai shuru kare jo abhi kuch dair pehle mujhsay rooth kar chali gayi thi, meri humdam meri mehbooba meri dost!!!

No comments:

Post a Comment