Hai koi jo suchchi baat likhe,
hai koi jo dil ke jazbaat kahe
hai koi jo sune taaro.n mai
saaz o awaaz ki zaat likhey
meine daikhe hain kaii chehrey
jinke maathay pe such ke tamghay they
aur lehje mai bala ki narmi
jinki awaaz ki khumaari mai
ek seedha saadha sa ladka
duniya ki talkh haqeeqat se lad jaata hai
aur jab muR kar "ussi" ko nahi daikhta
to goli kha kar mar jaata hai
meine daikhi hain mehkti kaliyaan
jinke hoton pe chatakhney ke
kaii rang aate jaate hain
jinki khusboo manchale bhwray
shaakh dar shaakh gungunaate hain
aur jab mand paRti hai whi khusbu
phir se ek nayi kali ki talaash mai
wo hawaao mai kho se jaate hain
meine daikha hai wo bhi lamha ke jab
piyar ki mehekti waadi mai, ek duje ka haath
haath mai liye, do haseen piyaar karne waale
nayi disha mai kho jaate hain
aur phir achanak se, jaane kis baat par akaR jaate hain
aur apne apne ghar jaate hain
meine daikhi hai aisi shehzaadi bhi
jo ek adna se ladke ki khaatir
saare takht taaj se lad jaati hai
aur khud mai hi mar jaati hai
meine daikha wo bhi shehzaada jo
ek londi se karke waada, apne nashey mai kho jata hai
apni hi piyaar ki nishaani ko
apne hi haatho marwaata hai
meine daikhe hain ye saare manzar,
ab koi nayi baat bhi likh do
koi to aisa pal likh do mere bhi maathy par
ke jab dunaiya ka aakhri lamha mujhse
kuch sawaal kare to
mere bhi haatho mai, ek piyaar ki mukammal
kahani ho jisme na koi raaja aur na hi koi raani ho
jisme ho.n bas do dhadakte huway dil
haqeeqat ki zubaani ho
wo teri aur meri kahaani ho
wo teri aur meri kahaani ho!!
aslam
Sunday, 7 February 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment